About Digitlogy: local business ke liye digital power

Hum Jaipur ke Pratap Nagar se kaam karte hain aur 70+ shehron ke chhote dukaan aur local business ko Google par dikhne me madad karte hain.

Hum kya karte hain

Digitlogy ek local SEO aur digital marketing agency hai. Hamara pehla focus Google Business Profile (GBP) hai: wahi profile jo "near me" search par dukaan, clinic ya office ko Google Maps aur search me dikhata hai. Iske saath hum local SEO, social media management, Meta Ads aur Google Ads sambhalte hain.

Hamari soch

Bahut se chhote business owner ke paas digital kaam ke liye time nahi hota, aur agencies se unhe saaf hisaab nahi milta. Hum ulta karte hain: jo kaam kiya, uska poora record aapko client portal me dikhta hai. Ranking ka jhootha vaada hum nahi karte.

Hum kaise kaam karte hain

  • Pehle samjhna: aapka business, shehar aur competition dekhkar bataate hain kya kami hai.
  • Sahi access: hum password nahi maangte. Google Manager access aur Meta Business Manager invite se kaam hota hai.
  • Regular kaam: posts, photos, reviews ke jawab, ads ki nigrani aur mahine ki report.
  • Saaf hisaab: client portal me kaam, access status aur payment dikhta hai.

Hamare saath kaun kaam karta hai

Chhoti, focused team. Hum interns aur naye logo ko bhi seekhne ka mauka dete hain. Dekho Join as Intern aur hamare courses.

70+shehron me kaam
GBPhamara core focus
JaipurPratap Nagar office